







Centauraus Mall Islamabad 🍸
Aj ka din mosam kuch shandar tah,kal sham ki barish nay nashtay ka bharpur mahool bunaya aur hum nay bhi khub halwa puri urhayi...
Phir shopping 🛍 ka mood bun gaya. Khala bhi hamaray haan aye hui hain. Cousins nay udhum machaya kay chalain aj seer kay sath kuch buy kiya jaye.
Mall ghar kay qareeb he hay so 20 minutes ki drive kay baad hum pohnch gaye dharalay say entry maari aur shoes,kapray aur perfumes khareeday gaye.
Phir ihtemam kay sath dinner kiya gaya aur ice cream 🍦 bhi 😋 khaye gayi.
Raat ko ghar wapsi hui aur nend say bhojal hum nay razayi urhi aur lambi thaan kay so gaye.
Yeh thi aj kay din ki rodaad.
For the best experience view this post on Liketu