Sort:  

Job esi lo ki
Padhai bi tiq se ho sake

Main to sab type ki kiye hain

STD ISD PCO k booth pe bhi betha hoon
Saari bhi bechi hain
Imitation jewellery bhi bechi hain
Hutch & Tata Indicom Postpaid bi beche hain
Cleaning boy bi bana hoon
Lab assistant bi
Marriage photography bi
Tally account bhi
Computer coaching class bi
Collage ka Faculty bhi

Baapu mere paralysis wale to
Sab 10th se hi suru kar diye the

Jese tese MCA complete kiye hain

Aap log lucky ho
12k mil raha
Mera to 400 rupees salary ka cheque aata thaa 😂🥹😭

bahat hi inspiring story hai Sir jee....tussi great ho.......🙏🙏🙏🙏🙏

Aap log lucky ho

Yes we should have more gratitude.

Kuch kuchh esi jobs ki hain ki list bi nai kar sakte.
Chalo koi ni. Raat gayi baat gayi.

Bhai saab koi baat nai hai mene khud aik zamane mein "Captcha" kiye hai reward points ke liye tau app akele nai hai bhai saab app ko kissi pe bhi "impression" banane ki zaroorat nai iss liye ye platform Instagram se behtr hai.

Bhai aapki tulna mein kaafi Kam jobs karke bhi ek baat sikhi hai ki jyada anubhav padhne se nahi balki karne se praapt hota hai.
To aapko yaqeenan zindagi ki behtar samajh hogi😊🙏🏼

Sahi arth main to Jobs, Business se hi anubhaw aayega.
Baki sab Kitaabi gyan, Khaas kar ke Bhaarat main.

Yes you should consider it why not!!

Okay, thanks.

Bhai ek alag approach meri bhi jaan lo :D
Job sirf paison ki kamai ke liye hi nahi balki duniya ki samajh aur jamaane ke sath Bane rehne ke liye bhi ki jaani chahiye. Ab wo kab se shuru karna hai aur use kitna mahatva aur samay dena hai wo aapko apni priorities decide karke karna padega. :)

han bhai sahi bol rhe hain.....but mere liye meri preparation ko sustain karne ke liye bhi ek part time job ya kuch saving rakhna padega....isiliye meri startegy yeh hai ki 4 mahina kaam karke kuch paisa bana lo aur fir 8 mahina full time padhai

Ye accha plan hai.. isse financial freedom bhi aayegi aur padhai bhi nahi rukegi. Good luck with that! 😊👍🏼

jee....dhanyavaad.

Dekhte hain aage kya hota hai.

Sab accha hi hoga😊

Thank you.

🙏🙏🙏

Pahle padhi tab lugai😁

hahahaha

job join kar li... Toh fir padhai kaise kroge... competative exam kaafi difficult hain... what you really want... choice will be your..

isiliye toh final nhi kar paa rhe hain....prelim exam jaake Oct ko hai...toh 3/4 mahina job kar lenge kuch paisa aa jayega hath me toh baaki ka 8 mahine padhai kar lenge.

according to me, abi aap pdhai par dhyan do.. ek baar paise k chakkar me padh gaye toh fir pdhai me mann ni lagega ....

Waise aap vo kro jo aapko theek laage...mai toh bas suggestion de rai hu...

padhai +preparation ke liye hi toh paisa chahiye...isiliye toh yahan hive me hustling chal rha hai.....otherwise.....I have lot more commitment and obligation towards my preparation.

ek baar paise k chakkar me padh gaye toh fir pdhai me mann ni lagega ....

Sadly this is the slave mentality we have been conditioned with.

Yes it is surely a dilemma.