Dekhte hi dekhte ek aur din ka ant ho gaya bhai log. Shaam ka ye najara bahut hi pyara hota hai isliye main shaam me photo leta hoon mujhe ye najara dekh kar bahut hi achha lagta hai. Umeed karta hoon aap sabhi logo ko bhi shaam ka najara achha lagta hoga. Na jyada garmi rahti hai aur na hi jyada sardi ek mast mausam hota hai. Iss samay sab log bhi ghumne ke liye baahar nikalte hai aur sunset point par to kaafi bheed bhi rahti hai. Waise humare Assam me videshi tourist kam hi aate hai utna jyada mashoor nahi hai lekin fir bhi jagah achhi hai.
Aap log mere photo me dekhte hi hai ki kaisi jagah hai ye. Bas ek baar thoda paisa ho jaaye fi main videsh bhi gumunga aur udhar ka bhi najara aap ko dikhaaunga. Abhi to bhai apne desh ke dusre state bhi nahi dekhe hai maine lekin umeed hai ki ek din main bhi duniya ghumunga aur achhe achhe photo lunga jo aap logo ke saath share bhi karunga.
EXIF INFORMATION
Camera | Nikon D3200 |
Shutter Speed | 1/1000 sec |
Aperture | f/6.3 |
ISO | 100 |
Post Processed | Adobe Photoshop |
Location | Assam |
Awesome
😍👌