Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate, Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate,

in #poetry6 years ago


Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate,
Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate,

Woh chhat par aana wo julfe lehrana,
Sabhi paigam likhkar bataye nahi jate,

Woh bahana, saheli k ghar padne jana,
Gali k chakkar ab aise lagaye nahi jate,

Wo aangan mein aakar angithi jalana,
Purane bahane to ab banaye nahi jaate,

Mohalle ki shadi me saj-sanvar kar jana,
Humesha toh ye jalwe dikhaye nahi jate,

Woh kisi kone me chup kar aansu bahana,
Aise ehsaas toh ‘Meet’ karaye nahi jate.
sd20.gif
The simple act of saying 5efaf9f124c7094fc32b7d65f27a7573--thank-you-quotes-thank-you-cards.jpg
is a demonstration of gratitude in response to an experience that was meaningful to a customer or citizen.
With respect,g-gif-update (14).gif