Sort:  

Ye sach mein helpful hoga bhai.
Waise aap unse puchhoge to aapko pata hona chahiye Main apna potting mix 30% cocopeat, 30% farm soil, 30% gobar compost, aur 10% rait se banata hoon. Aur ye hi same mix seeds ke liye bhi use karta hoon.

Bhai mere Goan me ye mixing nahi chalta waha ka soil kafi upjau hai bas gobar ka khaad daalte hai wo bhi mitti me mix kar ke andaje se. Baki ka bataunga actually phone pe information thik se Goan wale nahi de pate hai, face to face me pata chal payega

Sir gaon mein kisi ke bhi mixing nahi chalta. Jab ugaane ke liye puri jameen ho toh ye mixing ki kya jarurat kyunki paudhe ki jadein gehrai mein kahin bhi pahuchke apna poshan dhundh leti hain. Parr, gamle mein jagah aur mitti dono limited hoti hai toh jo aadmi guide karne wala hai usko pata hona chahiye ki mitti kisi vishesh beej ke ankuran ke liye paryaapt nutritious hai yaa nahi. 😊🙏🏼

Bilkul aap ka kathan sahi hai, lekin mere gamle me mirch aur other plants like aloevera Tulsi , giloy , Ganda phool, cactus, hai without mixing soil, mai normal park ka soil use karta hu, Only I change in small amount of soil after 3-4 months. No idea for veggie plants, soon I will plant veggies , uske baad share karunga apna experience